Chrome - Background My Life in My Words.. : shayari
Showing posts with label shayari. Show all posts
Showing posts with label shayari. Show all posts

Thursday, February 5, 2015

Tuu nadaan hi sahi....



Suna tha na jaane kitno se
Ki khushnaseeb hoon main tere mera hone se.
Pal woh the haseen
Tha jo tumpe yakeen.
Lekin ab toh khud aayina dekhne ke kaabil
nahi raha main.

Yaadon ko apne andar simte hue hoon,
teri awaaz baar baar sunta rahoon.
teri tasveer zinda jaise mujhe dekhe,
Par kya karun main in sab ko leke.
Tere hone ka ehsaas
Na jaane kahan gum ho gaya.

In aankhon ko tera intezaar aaj bhi hai,
Thoda sa aitbaar tumpe aaj bhi hai.
ki tuu aaye aur pooche mujhe
ki tum hote kaun ho mujhse judaa hone waale.
Koi maanega nahi shayad inn baton ko,
mujhe matlab sirf tumse hai.

Kabhi meri ruh ke andar ke khaalipan ko mehsoos kar zara,
Kabhi apne dil se pooch aur dimaag ko bataa.
Pyaar tumne bhi kabhi kiya tha mujhse,
Aur kitna jhoot bologi khud se?
Jab tak hai saansein tera intezaar rahega,
tuu nadaan hi sahi tumse pyaar humesha rahega…

Monday, June 16, 2014

Teri Zarurat- Ek khayal (Poem)

Har din ki subah kare yahi dua,
Har subah tujhe sang le aaye.
Na jaane hai ye kaisa adhoorapan,
Lakeeron me shayad,
fir bhi saath nahi tum.

Chahe ye dil baatna
aa bhi jao kabhi meri gali.
Baitha hoon tere intezaar me,
tere hone se sab kuch,
tujh sang jo hai zindagi khili.

Sach ye bhi hai ek
Nahi baj sakti ek haath se tali,
kya karu bina tere,
dhoonde tujhe har pal,
haath meri thaamne tujhe.

Khush hoon main hone se,
tere meri duniya main maujood.
Raasta zindagi ka kare man,
Mod loon teri or,
Aur bana loon tujhe manzil meri.

Waqt mila jab bhi mujhe,
tere sang chand lamhe guzarne ka.
Chup si mannat ki rab se,
tham jaaye waqt yahin,
aur tuu aur main is me kho jaaye.

Saath tere hona hai
Ek ehsaas alag, lagta hai jaise
Jaadu kar liya tune mujhpe koi.
aur uss manzar me,
main jee loon saari zindagi.

Chahun tujhe rakhoon humesha,
karke kaid dil mein mere,
aisi lagan lagi hai tujhse ab,
lubha liya jo tune mujhe,
Ho gya hoon main bekhud.

Fir bhi nami hai in palkon me,
Poora kar lo khudko deke mujhe.
Shayad tab duniya mere liye hogi nacheez,
Bana lunga tujhe meri zindagi.