Chrome - Background My Life in My Words.. : hindi. ashaar
Showing posts with label hindi. ashaar. Show all posts
Showing posts with label hindi. ashaar. Show all posts

Thursday, February 5, 2015

Tuu nadaan hi sahi....



Suna tha na jaane kitno se
Ki khushnaseeb hoon main tere mera hone se.
Pal woh the haseen
Tha jo tumpe yakeen.
Lekin ab toh khud aayina dekhne ke kaabil
nahi raha main.

Yaadon ko apne andar simte hue hoon,
teri awaaz baar baar sunta rahoon.
teri tasveer zinda jaise mujhe dekhe,
Par kya karun main in sab ko leke.
Tere hone ka ehsaas
Na jaane kahan gum ho gaya.

In aankhon ko tera intezaar aaj bhi hai,
Thoda sa aitbaar tumpe aaj bhi hai.
ki tuu aaye aur pooche mujhe
ki tum hote kaun ho mujhse judaa hone waale.
Koi maanega nahi shayad inn baton ko,
mujhe matlab sirf tumse hai.

Kabhi meri ruh ke andar ke khaalipan ko mehsoos kar zara,
Kabhi apne dil se pooch aur dimaag ko bataa.
Pyaar tumne bhi kabhi kiya tha mujhse,
Aur kitna jhoot bologi khud se?
Jab tak hai saansein tera intezaar rahega,
tuu nadaan hi sahi tumse pyaar humesha rahega…

Tuesday, January 6, 2015

Dil ke alfaaz..



Kabhi kisi ki baaton me
Ek kissa mera bhi tha,
Kabhi kisi ki hasi se
Ek rishta mera bhi tha.
Waqt nahi rukta kabhi
Chaha tha us pal tham jaaye abhi.
Tha dar shayad isi baat ka,
Woh jo hua, hona chahiye tha nahi.

Har baar har baat karta batane ka use,
Lekin zuban ki padti thi nahi zarurat.
Aisa tha humara rishta kuch,
Lafzon ki thi nahi aadat.
Mannat maangi thi zarur maine,
Lekin uspe aitbaar bhi tha,
Jaane se uske sab bikhar gaya lekin,
Dard kuch toh usse bhi hua hoga.

Duniya me koi cheez toote toh,
Doosri zarur mil jaati hai,
Kaash mil jaata aur ek dil,
Jo is dil ki har dhadkan uski yaad dilati hai.
Har ek cheez jaise judi hai unse,
Har ek rah ki manzil sirf wahi.
Kho gaya hai raasta ab apna,
Fir bhi chal rahi hai saanse.

Jo tha, jab tha jaise ek sapna lagta tha,
Aur ab apni aankh khuli.
Soo jata humesha ke liye main toh,
Agar sapnon me hi woh mil jaati mujhe.
Aaaya jaise koi baadal bura sa,
Aur main khud ko sambhal bhi nahi paaya,
Bikhre sapno ke kaafile ke tale,
Chod gaya apna saaya.

Yaadon ke sahare har koi nahi jee pata,
Maine toh har pal use chaha, usse jiya.
Bina anjaam soche chali gayi who,
Jaate jaate meri chahat ka accha sila diya.
Koi kisi se kabhi aise judaa na ho,
Kabhi kisi ko acchayi ke liye aisi saza na mile,
Agar aage saath chodna hi agar usko,

Toh woh kabhi saat hi na chale.
Kehte sab hai waise toh,
 Kisi ke aane jaane se dhadkan thodi band ho jaati hai,
Ruk jaata hai bas waqt dil tootne se pehle,
Aur uski kahi sab baate yaad aati hai.
Bohot chaha tha usse, ab firse nahi hoga ye sab,
Dil ne bohot zakham kha liye aaj tak,
Isse aur takleef nahi doonga ab.

Sawaal hai kayin poochne ke liye,
Lekin jawabon se ab koi matlab hai hi nahi.
Koi chala jaata hai zindagi se kabhi,
Wapis aaya toh pehle jaisa hota nahi.
Agar saans lene ko jeena kehte hai,
Toh le raha hoon main.
Woh ek pyaara sa hissa mera,
Kho gaya hai uske jaane se..

Monday, June 16, 2014

Teri Zarurat- Ek khayal (Poem)

Har din ki subah kare yahi dua,
Har subah tujhe sang le aaye.
Na jaane hai ye kaisa adhoorapan,
Lakeeron me shayad,
fir bhi saath nahi tum.

Chahe ye dil baatna
aa bhi jao kabhi meri gali.
Baitha hoon tere intezaar me,
tere hone se sab kuch,
tujh sang jo hai zindagi khili.

Sach ye bhi hai ek
Nahi baj sakti ek haath se tali,
kya karu bina tere,
dhoonde tujhe har pal,
haath meri thaamne tujhe.

Khush hoon main hone se,
tere meri duniya main maujood.
Raasta zindagi ka kare man,
Mod loon teri or,
Aur bana loon tujhe manzil meri.

Waqt mila jab bhi mujhe,
tere sang chand lamhe guzarne ka.
Chup si mannat ki rab se,
tham jaaye waqt yahin,
aur tuu aur main is me kho jaaye.

Saath tere hona hai
Ek ehsaas alag, lagta hai jaise
Jaadu kar liya tune mujhpe koi.
aur uss manzar me,
main jee loon saari zindagi.

Chahun tujhe rakhoon humesha,
karke kaid dil mein mere,
aisi lagan lagi hai tujhse ab,
lubha liya jo tune mujhe,
Ho gya hoon main bekhud.

Fir bhi nami hai in palkon me,
Poora kar lo khudko deke mujhe.
Shayad tab duniya mere liye hogi nacheez,
Bana lunga tujhe meri zindagi.